Jaane woh kaise
Jaane Woh Kaise Log The Jinke Pyar Ko Pyar Mila
Humne To Jab Kaliyaan Maangi Kaaton Ka Haar Mila
Bichhad Gayaa Har Saathi Dekar Pal Do Pal Ka Saath
Kisko fursat Hai Jo Thamey Deewane Ka Haath
Humko Apna Saaya Tak Aqsar Bezaar Mila
Isko Hi Jeena Kehte Hain To Yunhi Ji Lenge
Uf Na Karenge Lab See Lenge Aansoo Pee Lenge
Gham Se Ab Ghabraana Kaisa Gham Sau Baar Mila