Read SMS
Sent to a friend[5725] Nigaahon ka Hasil Ba-juz Ghum na Samjhay
Nigaahon ka Hasil Ba-juz Ghum na SamjhayTamaasha thi Duniya Magar Hum na Samjhay
Mohabbat ke Jazbaat Dono taraf thay
Kabhi tum na Samjhay Kabhi Hum na Samjhay
Hazaaron Hijabaat Laakhon Naqaabein
Jo Aalam tha Un per Woh Aalam na Samjhay
Yeh Sada Tabbiyat Yeh Naadan Soorat
Barhay Jalwagir hai Koi Kam na Samjhay
Mohabbat mei Be-Samjhay Boojhay Guzaari
Samjhnay ke Qabil tha Aalam na Samjhay
Mohabbat ka Ehsaas Kiya Chahta hai
Yeh Un ka to Kiya ziker hai Hum Na Samjhay
Meri Moat per Ro ke bhi Ronay Walay
Qayaamat hai Mafhoom Maatam na Samjhay
Ghum-e-Dil Zamanay se Kehtay rahe Hum
Yeh Mehfil ki Mehfil hai Barhum na Samjhay
Bhula de ga Duniya ke Har Ghum ko "Dost"
Ghum-e-Aashqi ko Koi Kam na Samjhay
Fahad
0301-6656568
Rating:0.00