Read SMS
Sent to a friend[5781] teri Khushboo ka pata karti hai
teri Khushboo ka pata karti haimujh pe ehsaan hava karti hai
shab kii tanhaai main ab to aksar
guftaguu tujh se rahaa karti hai
dil ko us raah pe chalana he nahi
jo mujhe tujh se judaa karti hai
us ne dekhaa he nahi varna ye aankh
dil kaa ehavaal kahaa karti hai
shaam parte he kisi shakhs ki yaad
kuuchaa-e-jaan mein sadaa karti hai
dukh hua karta hai kuchh aur bayaan
baat kuchh aur huaa karati hai
masalaa jab bhii uthaa chiraagon ka
faisalaa sirf havaa karatii hai
Fahad
0301-6656568
Rating:0.00