Read SMS
Sent to a friend[5788] Tumhein jab kabhi milein fursatein
Tumhein jab kabhi milein fursateinMere dil se bojh utaar do
Mein bohot dinoun se udaas houn
Mujhe koi shaam udhaar do
Mujhe apne roop ki dhoop do
Ke chamak sakein mere khad-o-khal
Mujhe apne rang mein rang lo
Mere saare zang utaar do
Kissi ko mere haal se
Na garz hay na koi vaasta
Mein bikhar gaya houn samet lo
Mein bigarr gaya houn sanwaar do
Meri Wehshatoun ko barha diya hay
Judaiyoun ke Azaab ne
Mere Dil pe Haath rakho zara
Meri Dharkanoun ko Qaraar do
Wahaan Ghar main Kaun hay Muntazir
Kisse Fikar Dair Sawair ki
Barri Mukhtasar si yeh Raat hay
Isse Chandni main Guzaar do
Tumhain jab kabhi milein fursatein
Mere dil se bojh utaar do
Fahad
0301-6656568
Rating:0.00