|
Viewing 37 - 45 out of 75 Blogs.
| Page:
|
|
5 |
|
|
Bichar bhi to ham bas kal parson
Jioon ga main kaise, is haal mein barson
Maut na aayi teri yaad kyon aayi
Hay lambi judai
Chaar dinon ka pyaar ho rabba
Badi lambi judai, lambi judai
Honthon pe aaye meri jaan duhai
Hay lambi judai
Chaar dinon ka pyaar ho rabba
Badi lambi judai, lambi judai
Ek to sajan mere paas nahin re
Duje milan di koi aas nahin re -2
Uspe yeh sawan aaya -2
Aag lagaayi, hay lambi judai
Chaar dinon ka pyaar ho rabba
Badi lambi judai, lambi judai
Toote zamaane tere haath nigode, haath nigode
Dil se dilon ke tune sheeshe tode, sheeshe tode
Hijr ki oonchi, hijr ki oonchi deevaar banaayi
Hay lambi judai
Chaar dinon ka pyaar ho rabba
Badi lambi judai, lambi judai
Baag ujad gaye, baag ujad gaye khilne se pehle
Panchhi bichhad gaye milne se pehle -2
Koyal ki kook, koyal ki kook ne hook uthaayi
Hay lambi judai
Chaar dinon ka pyaar ho rabba
Badi lambi judai, lambi judai
Honthon pe aaye meri jaan, duhai
Hay lambi judai
Chaar dinon ka pyaar ho rabba
Badi lambi judai, lambi judai
tumhein bhool jaauN ye hotaa nahii
koii vaqt ho dard sotaa nahin
na ho jao badnaam tum is liye
main ro ro ke daaman bhigotaa nahi
ye vo fasl hai jo uge Khud-ba-Khud
koi dard kay beej botaa nahii
ye maanaa ke tuufaan ka zor hai
main ghabaraa ke kashtii Dubotaa nahi
itni si dua hai k aane wala har lamha
haseen chahton k phool bakshe orooj bakshe
tumhari duniya main roshni ho
tumhari mahfil main khushiyaan hon
tumhare honton pe muskurahat ho
kabhi tum tak dukhon ki dastak na pahunch paye
tumhari aankhon main jo sitare chamak rahen hain
unhi chamkte rahen hamehsa
tumhare dil tak juda-i-yon,be wafa-i-yon ki koi andheri kiran na pahunch paye
khuda kare k tum har dil ka karaar looto
tumhari har ik tamanna har ik khawahish
tumhare honto tak aate aate
tumhare qadmon tak aa pahunche
jo ho sake to tumhare hisse k saare gamon ko
main apne andar jazb karloon
jaanta hoon ye mumkin nahin
lekin dua to mera haq hai
ye dua ka mukhatasar sa tohfa aapke liye
iss naye saal pe aur eid-ul-azha k mauqe par
isse sambhaal kar rakhna
mere andheron ki fikr chod do miss laiba
tum bas apna khayaal rakhna
tum bas apna khayaal rakhna
Yun dil ko har ik shakhs pe waara nahi karte
aankhon main har ik aks utara nahi karte
Honi hai to hojaye ik baar mohabbat
Ye bhool hai aisi ke dubara nahi karte
Achha hua main ne hi faqat dekha magar yun
mehfil main kisi ko bhi ishara nahi karte
Mil jaye sar-e-raah jo bichhda hua koi
chup chaap hi takte hain pukara nahi karte
kiun pyar ki bazi se ho is darja gurezaan
kehte hain ke dil haar ke hara nahi karte
Kaajal se bhi ab kaam koi lena nahi
Yun dard se aankhon ko sanwara nahi karte
Ek NaaTa ek rishta
Ek jazbaa ek ehsaas
Khayalon me basi
Gulabon ki si
Bheeni bheeni khushboo jaise
Dil me utarne wale
Madhur aur suriley
Geeton ki manind
Apne ander kayee rang liye
Itne anokhey
Itne dilfareb rang
Khubsoorat waadi
Ki samaan
Haseen mausam jaise
Bandhan ek waade ka wafaa ka
Chattan se mazbooT
Per kachcha dhaaga jaise
Laakh koshish ki,bahut jatan kiya
magar woh na ho saka kisi bhi tarah mera
Khud par yakeen tha,uspe bhi eitbaar tha
magar halaat ne na saath diya mera
kya kya socha tha,kya kya sapne dekhe the
mitti me mil gaya sabkuch mera
Suna tha kismatein insaan apni khud likhta hai
magar is hunar se bhi maat kha gaya haath mera
Koi maane ya na maane sach to ye hai
Kismatein to uparwala banata hai
Kab kisko kya mila....ye to woh hi behtar jaanta hai!!
Aaj phir jab raat aayi,
Tum aaj phir yaad aaye,
Kitne hi gham Tumhare baad aaye,
In ghamon ko shumar kiya karna,
Ab bhi tera intezar kiya karna,
Per ab bhi jab mai Tanha hothi hoon,
Mere pass, merey khayalon main,
Sirf Tum hote ho...
Mai ab bhi Tere gham seh jarahii hoon,
Behar-e-ashk main ab bhi beh jarahii hoon,
Mai Tujhse shikwa kya karoon,
Mai Tujhse shikayat kya karoon,
Mai Tujhse gussa kya karoon,
May Tujhse chahat kya karoon,
Per ab bhi jab mai Tanha hothi hoon,
Mere Ehsas main, Meri Sochon main,
Sirf Tum hote ho.
May nahi janthi,
Tera hal kya hai mere baad,
Dil ka ahwal kya hai Tere baad,
Apnay liye kabhi ashk
Teri aankhon main nahi dekhe,
Kya ab kuch malal hai mere baad,
Per ab bhi jab main tanha hothi hoon,
Merey aas pass may, Meri Aahon main,
Hawaoon Ki Sadaoon main,
Sirf Tum hothe ho.......
|
|
baadal
Posted On 11/30/2007 05:22:46
|
Is Raat Ki..Tanhayeeon Ke
Sab Rang Badal Gaye Hain
Chand Nikla Hai Waisey Hi
Andherey Badal Gaye Hain
Jin Ke Bharose Thi Khushiyan
Woh Baadal Thaher Gaye Hain
Manzilain To Ab Bhi Woh Hi Hain
Kuch Rastey Badal Gaye Hain
Jin Pe Kiya Tha Bharosa Hum Ney
Woh Dost Bicher Gaye Hain
Dekhey They Jo MeMoN Ney
Woh Khuwaab Badal Gay Hain
Jo Baney The Kabhi Humsafer
Aaj Woh Hi Mukar Gaye Hain
Iss Tutey Huey Dil K Sarey
Jazbaat Badal Gaye Hain
Na Badley Kabhi Hum
Na Badley Humarey Khayalat
Bas Rona Hai Yehi AnMoL
Kuch Log Badal Gaye Hain....
|
|
faasleh
Posted On 11/30/2007 05:22:08
|
faslay aese bhi hongay kabhi soocha na tha
samnay betha tha woh per woh mera na tha
woh to khushbo ki terha phaila tha merey chaar suu
mey ussey mahssuus ker sakta tha per chuu sakta na tha
raat bher siskion se aahat kaan mey aati rahi meray
jhaankna chaahta tha gali may per jhaank sakta na tha
aaj us ne apnay dard bhi alag ker liye mujh say
may rona chahta tu tha magar may ro sakta na tha
ye sabhi weraaniya ussi ki judaiye se theen
aankh namkeen tu hoween theen magar namak ka bahana na tha ....
| Page:
|
|
5 |
|
|
|